Friday 25 July 2014

PEER E KAMIL ...DUA...

Dua.....Peer e Kamil se ik Iqtibas

yahan kharay ho ker Tuj say Anbiya dua manga kertay thay...un ki duaoon main or meri duaoon main bohat faraq ha..main Nabbi hota tu Nabiyon jasi dua kerta,,mager main tu amm bashar hoon,,,, gunahgar bashar....meri khahishaat, meri arzooain sab amm hain, yahan kharay ho ker koi kabhi kisi aorat kay liay nahi roya hoga, meri zilat or pasti ki is say ziada intaha or
 kia hogi kay main yahan khara,,,,haram'e paak main khara.....aik aorat kay liay girgira reha hoon...

mager mujh ko na apnay dil per ikhtiyar hai na apnay ansooun per, ye main nahi tha jis nay is aorat ko apnay dil main jaga di...ye Tu nay kia,,,kun meray dil main us aorat ka liay itni mohabbat dal di ka main Teray samnay khara bhi usi ko yaad ker reha hoon? main wo bashar hoon jis ko Tu nay in tamam khamiyon kay sath banaya....j...is ko Teray siwa koi rasta dekhany wala nahi, or wo aorat meri zindagi kay her rastay per khari hai...mujhay kahin janay nahi day rehi...ya tu uski mohabbat ko meray dil say is tarah nikal day ke mujhay kabhi us ka khayal tak na aye, ya phir usay mujhay day da...wo nahi milay gi tu main sari zindagi usi kay liay rota rahoon ga, wo mil jaye gi tu Teray ilawa main kisi kay liay anso nahi baha sakoon ga, meray ansooun ko khalis honay day....main yahan khara tujse paak aortoon main sa aik ko mangta hoon

Peer-e-Kaamil (S.A.W.W) se Iqtibas

No comments:

Post a Comment